Ravi Goyal

Add To collaction

Ek Din Achanak Part 33

Agle din Ravi aur Pawan dono college pahunche. Wahan unhone dekha to dono behne unhen kahin dikhai nahin de rahi thi. Pawan ne kaha “Shayad abhi wo dono nahin aayi. Bas aate hi honge.”

 

Iske thodi der baad hi Riya aur Diya dono college mein aa gayi. Ravi wahin park mein baitha tha aur Pawan unse milne pahunch gaya.



Aate hi dono Pawan se mili aur Pawan ne jab bataya ki Ravi aa chuka hai to dono ne usse milne ki ichha jaahir ki. Pawan un dono ko park mein le aaya (Ab aap log ye kahenge ki saara din bahar hi rehte hain, kabhi park mein, kabhi canteen mein to class kab attend karte hain to iska jawab ye hai ki uske liye Jay hai na. Wo sabke liye notes bana deta hai)

 

 Jaise hi teeno park mein pahunche aur Pawan ne Ravi se kaha “Ravi ye Diya hai, Riya ki behan”

 

 “Tum” Ravi use dekhte hi ekdum chilla utha.

 

 Pawan bhi chaunk gaya aur poocha “Ravi tum ise jaante ho”

 

 “Pawan ye wohi ladki hai jiski wajah se mujhe itni ijjat mili. Thodi si kasar reh gayi ki mujhe police station bhi dekhne ko mil jaata.


Maine ab tak nahin dekha hai. Par ye bhi kya Karen bag mein saaman jo poora nikal gaya. Main bahut sharminda hoon ki inki hasrat adhuri reh gayi”

 

Diya khamosh khadi sab sun rahi thi. Aakhir kehti bhi kya galti to uski thi hi. Sharmindgi aur antarman ki dhikkar se wo bas itna hi bol payi “I am sorry”

 

Ravi ka to hanste huye bura haal tha. Lekin apne expressions se wo jaahir nahin hone de raha tha. 

 

Bas Ravi taunt pe taunt kase jaa raha tha. Diya kab tak bardhast karti ek dum se ro padi. Ab apna Ravi kisi ko rote huye to dekh nahin sakta to usko chup karate huya bola “I am sorry. Main kuch jyada hi bol gaya. Main sab bhool chuka hoon aur tum bhi sab bhool jao. Chaar din ki jindagi hai, bas hanste muskurate beetani chahiye. Is tarah nafrat aur gusse se kya haasil hoga”

 

Diya ka rona ek dum se band ho gaya aur Ravi uske dil par apni chaap chod gaya. Jo ladki kabhi ladkon se seedhe muh baat karna pasand nahin karti thi aaj use ek ladke ki saari baatein bahut pyaari lag rahi thi. Bas muskura di aur thodi der mein hi mahaul khusnuma ho gaya. Sab milkar canteen ki taraf chal diye.

 

Canteen mein charon baith kar coldrinks and snacks le rahe the ki Sanju wahan aa pahuncha. Uske haath mein ek pamphlet tha.



Sabne uske baare mein poocha to usne khush hokar bataya ki hamara college cricket tournament ka ayojan kar raha hai jahan doosre colleges se cricket teams match khelne ke liye aayengi. Principal ne entry forms nikal diye hain. Jo student icchuk hai wo apply kar sakta hai. Hum logon ko bhi participate karna chahiye. Kyun kya kehte ho doston.

 

Ravi aur Pawan to bahut khus ho gaye ye sunkar kyunki dono ko hi cricket bahut pasand tha lekin wo soch rahe the ki Jay ko kaise manayenge. Khair unhen pata tha ki Jay ko wo mana hi lenge kaise bhi karke aur unhone apne saath saath Jay ka naam bhi usko daalne ke liye keh diya. 



Sanju ne Riya aur Diya ki taraf dekhte huye kaha ki yaar player poore to abhi nahin huye lekin hamein apni cheerleaders mil gayi hain. Ye hamara haunsla badhane aur virodhi team ke player ka concentration down karne ka kaam bakhubhi nibha sakti hain.

 

Riya ne gusse se pehle Sanju ki taraf dekha aur phir Pawan ki taraf dekha ki usne ab tak Sanju ko kuch kaha kyun nahin lekin itne mein Sanju bol pada “Yaar main to majak kar raha tha. Kyun naraaz hoti ho” Lekin itne mein Diya bol padi ki hum cheerleaders banne ke liye tayyar hain. Sab uski baat sunkar chaunk gaye lekin sabse jyada achambha Riya ho huya tha. Lekin ye koi nahin jaanta tha ki Diya ne ye sab sirf Ravi ke liye kiya tha kyunki wo bhi participate kar raha tha.

 

Iske baad sab class mein dubara pahunch gaye aur khali samay dekh kar unhone Jay ko gher liya. Jay ko lag raha tha ki daal mein jaroor kuch kala hai lekin fir bhi usne poocha ki sab kyun aaye hain.



 Ravi ne saari baat use bata di to Jay ne kaha “Ravi yaar tum to jaante hi ho sab. Phir kyun aisa keh rahe ho.”

 

 “Are yahi to sabse achha tarika hai usse peecha chudane ka. Aakhir kab tak usse bhagte rahoge. Uska saamna karo aur one shot mein use khatam karo.”

 

Aise hi kaafi der sabke manane ke baad aur insist karne ke baad aakhir doston ke liye Jay tayyar ho gaya. Lekin usne ye bhi kaha ki use cricket khele kaafi samay ho gaya hai to sabne kaha ki tournament agle hafte se shuru ho raha hai aur unke paas practice karne ke liye poora ek hafta hai. 



Bas sab tayyari mein lag gaye aur sabka naam select bhi ho gaya (Ismein Sanju ke bhai Mukesh ka bada yogdaan tha). Sabne khoob joron shoron se practice shuru kar di aur aakhir wo din aa hi gaya jiska sabko besabri se intezar tha. Pehla hi match unka us team se tha jo kai championship jeet chuki thi.

 

Match wale din ground bhara huya tha aur saare players ground mein toss ke liye aaye huye the. Wahan Jay kisi ko dekhkar chaunk gaya.



Usne apne man mein socha “Are ye Raj yahan kahan se aa gaya aur wo bhi cricket team ke saath. School mein to uska cricket se koi waasta nahin tha”. Cricket ke naam se to ye door bhagta tha ya shayad ise aata bhi hoga to ye kabhi school cricket team mein to nahin khela to aaj achanak ek college level ki cricket team mein kaise aa gaya. Kuch to gadbad jaroor hai.

 

Lekin toss ho chuka tha aur Jay ki team ki fielding aayi thi. Virodhi team ke saare members chale gaye the tayyari karne ke liye ki kaun sa batsman pehle aayega aur uske baad kaun sa. Idhar Jay aur uski team ne bhi apni strategy par kaam karna shuru kar diya.

 

Dheere dheere batsman aate gaye aur run banate gaye. Beech mein halka fulka cheerleading bhi chalta raha Riya aur Diya ki taraf se.



Raj aaya to usne taabadtod batting shuru kar di. Raj ka dhyaan baar baar unki taraf jaa raha tha aur wo hi kya kisi ka bhi concentration bigad jayega aisi sunder kanyayon ka nritya dekhkar aur wo bhi umar ke aise padav par jahan accha bura sochne ki samajh dheere dheere vikshit hoti hai aadmi mein. 

 

Lekin Raj ko bhi jaldi out kar diya Jay ne aur ye shayad uski concentration tootne se huya tha isliye wo Jay ko jaate jaate aise dekh raha tha ki jaise usne ye cheerleading jaanbhoojkar rakhi hai taaki unke players mentally disturb ho jaye aur jaldi out ho jaye.



Gusse mein to wo aise dekh raha tha ki jaise Jay ko kachha kha jayega aur Jay use dekh muskura raha tha jaise keh raha ho ki tu kal bhi mujhse hara tha aur aaj bhi haar gaya hai.

 

Poori team ne 20 overs mein 140 runs banaye aur all out ho gayi. Iske baad Jay ki team ki baari aayi to dono openers kewal 20 runs ke andar out ho gaye. Lekin iske baad Ravi aur Sanju ne milkar paari ko sambhala aur score ko 70 tak pahunchaya lekin iske baad aapsi galatfahmi ke kaaran pehle Ravi run-out ho gaya aur fir thodi der baad Sanju bhi out ho gaya. 

 

Jay ki team ke liye bada sankat ka samay aa gaya tha. Lag raha tha ki jaise team match haar jayegi. Is beech Raj jo boundary line par khada tha Diya ke saath chedkhani karne laga. Pehle to Riya aur Diya ne usko neglect kiya lekin jab wo jyada badtamizi par utar aaya to Riya ne ek kas kar thappad use jad diya. Uska to paara saatwe aasman par chad gaya. Usne soch liya ki in dono ladkiyon ko to wo sabak sikha kar hi rahega.

 

Lekin is baat ko jyada tool nahin mila kyunki Raj ki team ke captain ne uski fielding position badal di. Iske baad saara daromdar Jay aur Pawan par aa gaya kyunki uske baad bowlers hi bach gaye the jinse ummeed karna bekar tha. Dono ne sambhal kar khelna shuru kiya aur aakhirkhar match ki last ball par jeet gaye.

 

Match jeetne ke baad sab players ek doosre se haath milane lage. Jab Jay aur Raj ka aamna saamna huya to Jay ne us par kataksh kiya ki dekha aaj bhi haar gaya na mujhse. Uski baat sunkar Raj muskura diya aur bolne laga “Tujhe kya pata ki kaun haara hai aur kaun jeeta. Bhale hi tu match jeet gaya hai lekin asal jindagi mein tu mujhse haar gaya hai.”

 

Jay ki hansi to rukne ka naam hi nahin le rahi thi. Usne kaha “haar tere sar chadke bol rahi hai. Haar ke gham mein tu paagal ho gaya hai. Pata nahin kya bakwaas kar raha hai”


 

 “Achha to main bakwaas kar raha hun to ye dekh” Itna kehte hi Raj ne apni jeb se kuch nikaal kar Jay ko dikhaya jise dekhkar Jay ke hosh hi ud gaye”



To be continued....

   24
17 Comments

Saba

13-Jan-2022 08:47 PM

💖

Reply

Kareem

13-Jan-2022 08:28 PM

Great

Reply

Ayra S

23-Dec-2021 04:08 PM

Nice

Reply